Tuesday, December 22, 2015

* mera charagh hawa ke khilaf jalta hai *
mera charagh hawa ke khilaf jalta hai
isi liye to zamaaney ko aaj khalta hai
 
jo tum ne aag lagayi thi tum to bhool gaye
hamarey dil se abhi tak dhuaan nikalta hai
 
usi ko khalney lagi roshni mere ghar ki
mere charagh se jis ka charagh jalta hai
 
sambhal sambhal ke chadho sediyan mohabbat ki
yahan se gir ke kahan aadmi sambhalta hai
 
zamana yun to bahut khush hai meri shauhrat se
kuchch aisey log bhe hein jin ka dum  nikalta hai
 
ghuroor tera munasib nahi taraqqi par
ki shaam aatey he suraj zarur dhalta hai..

by..hasim firojabaadi